charagh-e-KHwab-e-shikasta ki lau hai maddham dekh
charāġh-e-ḳhvāb-e-shikasta kī lau hai maddham dekh
kabhī to aa mirī tanhā.iyoñ kā aalam dekh
javāz DhūñD rahī haiñ ka.ī nigāheñ yahāñ
ye terī marzī hai tū chāhe mujh ko kam-kam dekh
hamāre shahr meñ sachchā.iyāñ muqayyad haiñ
yaqīñ na aa.e to chal ā.inoñ kā mātam dekh
abhī Thahar ai janāza paḌhāne vaale shaḳhs
badan ke malbe ke nīche dabe hue ġham dekh
yahāñ bhī mas.ala bai'at kā hī rahā hogā
lahū meñ Duube hue haiñ hazāroñ parcham dekh
yahāñ ke logoñ se ummīd rakh vafāoñ kī
ki muddatoñ yahāñ badle nahīñ haiñ mausam dekh
kabhī bhulā to diyā thā use magar 'āfāq'
palak jhapakte hī kyuuñ aañkh ho ga.ī nam dekh
charagh-e-KHwab-e-shikasta ki lau hai maddham dekh
kabhi to aa meri tanhaiyon ka aalam dekh
jawaz DhunD rahi hain kai nigahen yahan
ye teri marzi hai tu chahe mujh ko kam-kam dekh
hamare shahr mein sachchaiyan muqayyad hain
yaqin na aae to chal aainon ka matam dekh
abhi Thahar ai janaza paDhane wale shaKHs
badan ke malbe ke niche dabe hue gham dekh
yahan bhi masala bai'at ka hi raha hoga
lahu mein Dube hue hain hazaron parcham dekh
yahan ke logon se ummid rakh wafaon ki
ki muddaton yahan badle nahin hain mausam dekh
kabhi bhula to diya tha use magar 'afaq'
palak jhapakte hi kyun aankh ho gai nam dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.