charagh-e-nur thame dasht se jugnu nikal aae
charāġh-e-nūr thāme dasht se jugnū nikal aa.e
palaT kar dekh leñ shāyad koī pahlū nikal aa.e
tumhāre hijr meñ pathrā ga.ī hai aañkh sāvan kī
milo ham se ki yuuñ shāyad koī aañsū nikal aa.e
hama-tan raqs rahtā huuñ yahī maiñ soch ke shāyad
tamannā-soz sahrā se koī aahū nikal aa.e
ye kū-e-yār hai koī karishma ho bhī saktā hai
agar is habs meñ us samt se ḳhushbū nikal aa.e
jakaḌ rakhā hai puure zor se kis ne shikanje meñ
mujhe lagtā hai terī yaad ke baazū nikal aa.e
anā.eñ tark karne kā safī' bas ek rasta hai
idhar se maiñ agar niklūñ udhar se tū nikal aa.e
charagh-e-nur thame dasht se jugnu nikal aae
palaT kar dekh len shayad koi pahlu nikal aae
tumhaare hijr mein pathra gai hai aankh sawan ki
milo hum se ki yun shayad koi aansu nikal aae
hama-tan raqs rahta hun yahi main soch ke shayad
tamanna-soz sahra se koi aahu nikal aae
ye ku-e-yar hai koi karishma ho bhi sakta hai
agar is habs mein us samt se KHushbu nikal aae
jakaD rakha hai pure zor se kis ne shikanje mein
mujhe lagta hai teri yaad ke bazu nikal aae
anaen tark karne ka safi' bas ek rasta hai
idhar se main agar niklun udhar se tu nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.