charagh-e-sahari hun lekin abhi bujha bhi nahin
charagh-e-sahari hun lekin abhi bujha bhi nahin
Saeed Ahmad Saeed Kadwi
MORE BYSaeed Ahmad Saeed Kadwi
charāġh-e-saharī huuñ lekin abhī bujhā bhī nahīñ
ye kaise kah duuñ ki atrāf meñ havā bhī nahīñ
ye aur baat ki milne meñ ehtiyāt kare
ajiib shaḳhs hai zāhir meñ vo ḳhafā bhī nahīñ
zabāñ meñ chāshnī paa.ī hai aisī zālim ne
vo saḳht baat bhī kah de lage burā bhī nahīñ
vo milne ko to hamesha hī mujh se miltā hai
ġhurūr-e-husn to dekho ki boltā bhī nahīñ
shab-e-firāq guzārūñ maiñ kis tarah apnī
falak pe chāñd sitāroñ kā qāfila bhī nahīñ
jhiñjhoḌtā hai mujhe rāt-din zamīr mirā
mire gunāh kī duniyā meñ kyā sazā bhī nahīñ
maiñ jāntā huuñ ki lahreñ mujhe Dubo deñgī
sivā.e is ke koī aur aasrā bhī nahīñ
har ek shaḳhs ko aisā kahāñ salīqa milā
vo baat kartā hai aisī ki kuchh kahā bhī nahīñ
maiñ chal rahā huuñ 'sa.īd' aise rāste pe jahāñ
sivā.e dhuup ke sar par kahīñ ghaTā bhī nahīñ
charagh-e-sahari hun lekin abhi bujha bhi nahin
ye kaise kah dun ki atraf mein hawa bhi nahin
ye aur baat ki milne mein ehtiyat kare
ajib shaKHs hai zahir mein wo KHafa bhi nahin
zaban mein chashni pai hai aisi zalim ne
wo saKHt baat bhi kah de lage bura bhi nahin
wo milne ko to hamesha hi mujh se milta hai
ghurur-e-husn to dekho ki bolta bhi nahin
shab-e-firaq guzarun main kis tarah apni
falak pe chand sitaron ka qafila bhi nahin
jhinjhoDta hai mujhe raat-din zamir mera
mere gunah ki duniya mein kya saza bhi nahin
main jaanta hun ki lahren mujhe Dubo dengi
siwae is ke koi aur aasra bhi nahin
har ek shaKHs ko aisa kahan saliqa mila
wo baat karta hai aisi ki kuchh kaha bhi nahin
main chal raha hun 'said' aise raste pe jahan
siwae dhup ke sar par kahin ghaTa bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.