charagh-e-sham jo raushan hua haweli mein
charāġh-e-shām jo raushan huā havelī meñ
kisī kī yaad kā daftar khulā havelī meñ
usī kā chehra mujhe har taraf dikhā.ī diyā
vo jis kī guuñj rahī thī sadā havelī meñ
na tū na yaad tirī thī to itne barsoñ tak
kise maiñ DhūñDhtā phirtā rahā havelī meñ
ka.ī dinoñ se to dīvār-o-dar bhī haiñ ḳhāmosh
kisī kā jaise koī mar gayā havelī meñ
'ajīb baat hai buniyād rakhne vāloñ ko
yahāñ koī bhī nahīñ jāntā havelī meñ
mire buzurgoñ ne hijrat ke vaqt dekhā thā
vo ek ḳhvāb kahīñ kho gayā havelī meñ
pahāḌ hausle vāloñ kā dam bhī ghuTtā thā
magar ye dekh maiñ tanhā jiyā havelī meñ
idhar udhar ke sabhī log so.e āḳhir-kār
guzishta 'ahd magar jaag uThā havelī meñ
kisī kā 'aks hai yā koī ḳhvāb utrā hai
'zahūr' hone lagā hai ye kyā havelī meñ
charagh-e-sham jo raushan hua haweli mein
kisi ki yaad ka daftar khula haweli mein
usi ka chehra mujhe har taraf dikhai diya
wo jis ki gunj rahi thi sada haweli mein
na tu na yaad teri thi to itne barson tak
kise main DhunDhta phirta raha haweli mein
kai dinon se to diwar-o-dar bhi hain KHamosh
kisi ka jaise koi mar gaya haweli mein
'ajib baat hai buniyaad rakhne walon ko
yahan koi bhi nahin jaanta haweli mein
mere buzurgon ne hijrat ke waqt dekha tha
wo ek KHwab kahin kho gaya haweli mein
pahaD hausle walon ka dam bhi ghuTta tha
magar ye dekh main tanha jiya haweli mein
idhar udhar ke sabhi log soe aaKHir-kar
guzishta 'ahd magar jag uTha haweli mein
kisi ka 'aks hai ya koi KHwab utra hai
'zahur' hone laga hai ye kya haweli mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.