charagh-e-subh tera ham-KHayal main bhi hun
charāġh-e-sub.h tirā ham-ḳhayāl maiñ bhī huuñ
laraz rahī hai tirī lau nidhāl maiñ bhī huuñ
havā-e-dasht zarā ret se idhar bhī dekh
mujhe bhī saath uḌā pā.emāl maiñ bhī huuñ
kisī kī aañkh bhī nam mere intizār meñ hai
kisī kī masnad-e-dil par bahāl maiñ bhī huuñ
Thahar Thahar ke 'atā hotā hai vo lams-e-ḳhafīf
subuk-ravī se sū-e-indimāl maiñ bhī huuñ
ye khel ek taraf kā nahīñ rahā 'qāsim'
havā meñ ab zarā sikka uchhāl maiñ bhī huuñ
charagh-e-subh tera ham-KHayal main bhi hun
laraz rahi hai teri lau nidhaal main bhi hun
hawa-e-dasht zara ret se idhar bhi dekh
mujhe bhi sath uDa paemal main bhi hun
kisi ki aankh bhi nam mere intizar mein hai
kisi ki masnad-e-dil par bahaal main bhi hun
Thahar Thahar ke 'ata hota hai wo lams-e-KHafif
subuk-rawi se su-e-indimal main bhi hun
ye khel ek taraf ka nahin raha 'qasim'
hawa mein ab zara sikka uchhaal main bhi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.