charagh-e-zist ke donon sire jalao mat
charāġh-e-zīst ke donoñ sire jalāo mat
agar jalāo to lau is qadar baḌhāo mat
is aarzū meñ ki zinda uThā liye jaao
ḳhud apne dosh pe apnī salīb uThāo mat
sulag rahā hai jo dil vo bhaḌak bhī saktā hai
qarīb aao par itne qarīb aao mat
jo zaḳhm khaa.e haiñ un ko sadā aziiz rakho
jo tum ko bhuul gayā ho use bhulāo mat
jahāñ meñ koī to ho e.atibār ke qābil
vafā-e-dost ko ab aur āzmāo mat
isī tarah se milī hai har ik ko dād-e-hunar
jo sañg aa.e use chuum lo gañvāo mat
charagh-e-zist ke donon sire jalao mat
agar jalao to lau is qadar baDhao mat
is aarzu mein ki zinda uTha liye jao
KHud apne dosh pe apni salib uThao mat
sulag raha hai jo dil wo bhaDak bhi sakta hai
qarib aao par itne qarib aao mat
jo zaKHm khae hain un ko sada aziz rakho
jo tum ko bhul gaya ho use bhulao mat
jahan mein koi to ho eatibar ke qabil
wafa-e-dost ko ab aur aazmao mat
isi tarah se mili hai har ek ko dad-e-hunar
jo sang aae use chum lo ganwao mat
- Book : Qamat (Pg. 57)
- Author : Shahid Hussain
- Publication : Arshia Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.