charagh-e-zist sar-e-rahguzar hai kitni der
charāġh-e-zīst sar-e-rahguzar hai kitnī der
ye raushnī bhī sharīk-e-safar hai kitnī der
farār dard se ġham se mafar hai kitnī der
fasīl-e-shab ye charāġh-e-sahar hai kitnī der
savād-e-shām meñ ā.īne kahte jaate haiñ
tirā ye fan bhī ai ā.īna-gar hai kitnī der
zamīñ pukār rahī hai ai barg-e-ḳhushk tujhe
havā ke raqs meñ tū hai magar hai kitnī der
ragoñ meñ mauj-e-harārat nazar meñ barq kī rau
darūn-e-jism lahū kā bhañvar hai kitnī der
hameñ to shab ke samundar meñ ġharq rahnā hai
jamāl-e-sub.h-e-tarab mo'atabar hai kitnī der
ramīda vaqt ke manzar badalte rahte haiñ
havā kā qahr bhī sūkhe shajar hai kitnī der
mirī hayāt bhī mujh se bichhaḌne vaalī
tirā vajūd bhī pesh-e-nazar hai kitnī der
kisī bhī moḌ pe mujh se judā to honā hai
mirā junūn mirā ham-safar hai kitnī der
charagh-e-zist sar-e-rahguzar hai kitni der
ye raushni bhi sharik-e-safar hai kitni der
farar dard se gham se mafar hai kitni der
fasil-e-shab ye charagh-e-sahar hai kitni der
sawad-e-sham mein aaine kahte jate hain
tera ye fan bhi ai aaina-gar hai kitni der
zamin pukar rahi hai ai barg-e-KHushk tujhe
hawa ke raqs mein tu hai magar hai kitni der
ragon mein mauj-e-hararat nazar mein barq ki rau
darun-e-jism lahu ka bhanwar hai kitni der
hamein to shab ke samundar mein gharq rahna hai
jamal-e-subh-e-tarab mo'atabar hai kitni der
ramida waqt ke manzar badalte rahte hain
hawa ka qahr bhi sukhe shajar hai kitni der
meri hayat bhi mujh se bichhaDne wali
tera wajud bhi pesh-e-nazar hai kitni der
kisi bhi moD pe mujh se juda to hona hai
mera junun mera ham-safar hai kitni der
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.