Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charag gul the zamin ki gardish Thahar rahi thi

Saima Zaidi

charag gul the zamin ki gardish Thahar rahi thi

Saima Zaidi

MORE BYSaima Zaidi

    charāg gul the zamīñ gardish Thahar rahī thī

    maiñ tere hamrāh bāġh-e-jāñ se guzar rahī thī

    tulūa ho kar tirī jabīñ ne kahā ki aao

    maiñ paañv rakhte hue sitāroñ pe Dar rahī thī

    tumhāre baazū pe sabz ta.avīz khil rahā thā

    mirī mohabbat pe āyat-e-dil utar rahī thī

    kise ḳhabar thī ye ehtimām-e-visāl-e-nau hai

    maiñ hijr shab shikastagī meñ sañvar rahī thī

    ki raushnī rasīlā ras the tamām manzar

    maiñ apnī āñkheñ tumhārī āñkhoñ se bhar rahī thī

    abhī abhī to dhanak ke nam ne chhuā thā mujh ko

    abhī abhī to maiñ niiñd meñ baat kar rahī thī

    vo ishq āḳhirī paḌāv vo dil thaknā

    maiñ hijr-zādī thī aur ḳhud se guzar rahī thī

    charag gul the zamin ki gardish Thahar rahi thi

    main tere hamrah bagh-e-jaan se guzar rahi thi

    tulua ho kar teri jabin ne kaha ki aao

    main panw rakhte hue sitaron pe Dar rahi thi

    tumhaare bazu pe sabz tawiz khil raha tha

    meri mohabbat pe aayat-e-dil utar rahi thi

    kise KHabar thi ye ehtimam-e-visal-e-nau hai

    main hijr ki shab shikastagi mein sanwar rahi thi

    ki raushni ka rasila ras the tamam manzar

    main apni aankhen tumhaari aankhon se bhar rahi thi

    abhi abhi to dhanak ke nam ne chhua tha mujh ko

    abhi abhi to main nind mein baat kar rahi thi

    wo ishq ka aaKHiri paDaw wo dil ka thakna

    main hijr-zadi thi aur KHud se guzar rahi thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now