charagh hath mein tha tir bhi kaman mein tha
charāġh haath meñ thā tiir bhī kamān meñ thā
maiñ phir bhī haar ga.ī tū jo darmiyān meñ thā
maiñ āsmāñ kī hadoñ ko bhī paar kar letī
magar vo ḳhauf jo haa.el merī uḌaan meñ thā
thī zaḳhm zaḳhm magar ḳhud ko TūTne na diyā
samundaroñ se sivā hausla chaTān meñ thā
badal bhī saktā hai aḳhbār kī ḳhabar kī tarah
tirā ye vasf bhalā kab mire gumān meñ thā
akelā chhoḌ diyā dhuup meñ safar ke liye
us ek shaḳhs ne jo dil ke sā.ebān meñ thā
yaqīn tujh pe bhalā kis tarah maiñ kar letī
tazād had se ziyāda tire bayān meñ thā
charagh hath mein tha tir bhi kaman mein tha
main phir bhi haar gai tu jo darmiyan mein tha
main aasman ki hadon ko bhi par kar leti
magar wo KHauf jo hael meri uDan mein tha
thi zaKHm zaKHm magar KHud ko TuTne na diya
samundaron se siwa hausla chaTan mein tha
badal bhi sakta hai aKHbar ki KHabar ki tarah
tera ye wasf bhala kab mere guman mein tha
akela chhoD diya dhup mein safar ke liye
us ek shaKHs ne jo dil ke saeban mein tha
yaqin tujh pe bhala kis tarah main kar leti
tazad had se ziyaada tere bayan mein tha
- Book : Tahauur-e-Ishq (Pg. 56)
- Author : Humaira rahat
- Publication : Sayed Ameen Ashraf (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.