charagh hans len ye mauqa zara nahin deti
charāġh hañs leñ ye mauqa' zarā nahīñ detī
ghuTan havāoñ ko bhī rāstā nahīñ detī
tire baġhair bhī kahtī hai mujh se jiine ko
ye zindagī bhī sahī mashvarā nahīñ detī
ham aise shahr meñ rahte haiñ dosto ki jahāñ
koī zabān kisī ko du'ā nahīñ detī
udāsiyoñ kā mire dost aisā 'ālam hai
ki terī yaad bhī ab hausla nahīñ detī
tumhārā zikr hī har baar chheḌ detī hai
ye duniyā zaḳhm bhī koī nayā nahīñ detī
charagh hans len ye mauqa' zara nahin deti
ghuTan hawaon ko bhi rasta nahin deti
tere baghair bhi kahti hai mujh se jine ko
ye zindagi bhi sahi mashwara nahin deti
hum aise shahr mein rahte hain dosto ki jahan
koi zaban kisi ko du'a nahin deti
udasiyon ka mere dost aisa 'alam hai
ki teri yaad bhi ab hausla nahin deti
tumhaara zikr hi har bar chheD deti hai
ye duniya zaKHm bhi koi naya nahin deti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.