charagh jalte nahin hain jalae jate hain
charāġh jalte nahīñ haiñ jalā.e jaate haiñ
ye ashk bahte nahīñ haiñ bahā.e jaate haiñ
jab un kī bazm meñ pahuñche to ye huā ma.alūm
yahāñ charāġh nahīñ dil jalā.e jaate haiñ
ḳhizāñ ke ḳhauf se lutf-e-bahār kyoñ chhoḌeñ
yahī to soch ke gul muskurā.e jaate haiñ
shab-e-firāq kī be-tābiyāñ na pūchh hameñ
kuchh aise zaḳhm haiñ jo dil ko khaa.e jaate haiñ
samāñ ab aa gayā sone kā ġhāliban 'ḳhurshīd'
charāġh shaam ke ghar ghar bujhā.e jaate haiñ
charagh jalte nahin hain jalae jate hain
ye ashk bahte nahin hain bahae jate hain
jab un ki bazm mein pahunche to ye hua malum
yahan charagh nahin dil jalae jate hain
KHizan ke KHauf se lutf-e-bahaar kyon chhoDen
yahi to soch ke gul muskurae jate hain
shab-e-firaq ki be-tabiyan na puchh hamein
kuchh aise zaKHm hain jo dil ko khae jate hain
saman ab aa gaya sone ka ghaaliban 'KHurshid'
charagh sham ke ghar ghar bujhae jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.