charagh ka qad baDhane walon ki KHair ya rab
charāġh kā qad baḌhāne vāloñ kī ḳhair yā rab
havā ko dushman banāne vāloñ kī ḳhair yā rab
musāfiroñ ko jo dhuup meñ chhāñv de rahe haiñ
ye peḌ-paude lagāne vāloñ kī ḳhair yā rab
ham is se pahle to sirf nafrat ko jānte the
hameñ mohabbat sikhāne vāloñ kī ḳhair yā rab
maiñ Dar rahā huuñ ki bhaav roTī kā baḌh gayā hai
ye zahr sastā hai khāne vāloñ kī ḳhair yā rab
ye ḳhud hī mujh ko bulandiyoñ par biThā rahe haiñ
ki mujh ko nīchā dikhāne vāloñ kī ḳhair yā rab
maiñ sadqe jā.ūñ ki kitnī shīrīñ zabāñ hai urdu
charāġh-e-urdu jalāne vāloñ kī ḳhair yā rab
ham aise shā.ir unhīñ ke dam par uchhal rahe haiñ
suḳhan kī bazmeñ sajāne vāloñ kī ḳhair yā rab
charagh ka qad baDhane walon ki KHair ya rab
hawa ko dushman banane walon ki KHair ya rab
musafiron ko jo dhup mein chhanw de rahe hain
ye peD-paude lagane walon ki KHair ya rab
hum is se pahle to sirf nafrat ko jaante the
hamein mohabbat sikhane walon ki KHair ya rab
main Dar raha hun ki bhaw roTi ka baDh gaya hai
ye zahr sasta hai khane walon ki KHair ya rab
ye KHud hi mujh ko bulandiyon par biTha rahe hain
ki mujh ko nicha dikhane walon ki KHair ya rab
main sadqe jaun ki kitni shirin zaban hai urdu
charagh-e-urdu jalane walon ki KHair ya rab
hum aise shair unhin ke dam par uchhal rahe hain
suKHan ki bazmen sajaane walon ki KHair ya rab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.