charagh koi to jal jae zindagi ke liye
charāġh koī to jal jaa.e zindagī ke liye
bhaTak rahī huuñ añdhere meñ raushnī ke liye
zamāne bhar kī balāoñ ne aa ke gher liyā
baḌhā zarā jo koī haath dostī ke liye
junūn-e-ishq meñ kaise manā.eñ jashn-e-bahār
lagā dī aag nasheman meñ raushnī ke liye
vahī jo ġhair thā kal tak vahī jo dushman thā
usī kī yaad zarūrī hai zindagī ke liye
kahāñ luTā.ūñ maiñ sajde kahāñ jhukā.ūñ maiñ sar
koī sanam na milā mujh ko bandagī ke liye
charagh koi to jal jae zindagi ke liye
bhaTak rahi hun andhere mein raushni ke liye
zamane bhar ki balaon ne aa ke gher liya
baDha zara jo koi hath dosti ke liye
junun-e-ishq mein kaise manaen jashn-e-bahaar
laga di aag nasheman mein raushni ke liye
wahi jo ghair tha kal tak wahi jo dushman tha
usi ki yaad zaruri hai zindagi ke liye
kahan luTaun main sajde kahan jhukaun main sar
koi sanam na mila mujh ko bandagi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.