charagh-o-taq mein bedar ho gain aankhen
charāġh-o-tāq meñ bedār ho ga.iiñ āñkheñ
ba-faiz-e-'ishq samajh-dār ho ga.iiñ āñkheñ
tum.hārā 'aks utārā hai muddatoñ in meñ
'ajab nahīñ hai jo tahdār ho ga.iiñ āñkheñ
ye sote jāgte jo ḳhvāb dekhne lagī haiñ
janāb 'ishq se do-chār ho ga.iiñ āñkheñ
ye jaan letī haiñ sab hālateñ tire dil kī
murād ye hai ki autār ho ga.iiñ āñkheñ
na lauTne ko thā jaanā kisī ko saath us ke
so bin batā.e hī tayyār ho ga.iiñ āñkheñ
charagh-o-taq mein bedar ho gain aankhen
ba-faiz-e-'ishq samajh-dar ho gain aankhen
tumhaara 'aks utara hai muddaton in mein
'ajab nahin hai jo tahdar ho gain aankhen
ye sote jagte jo KHwab dekhne lagi hain
janab 'ishq se do-chaar ho gain aankhen
ye jaan leti hain sab haalaten tere dil ki
murad ye hai ki autar ho gain aankhen
na lauTne ko tha jaana kisi ko sath us ke
so bin batae hi tayyar ho gain aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.