charagh rakh ke darichon ke ru-ba-ru maine
charagh rakh ke darichon ke ru-ba-ru maine
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
charāġh rakh ke darīchoñ ke rū-ba-rū maiñ ne
banā liyā hai tirā aks hū-bahū maiñ ne
kisī nigāh se ik lahr aane vaalī hai
sunī hai raat samundar kī guftugū maiñ ne
ye kaun aañkh ke zindāñ meñ qaid ho gayā hai
ye kis ke vāste dil kar liyā lahū maiñ ne
nazar vajūd tabassum judā judā kar ke
bikher rakkhā hai ḳhud ko hī chār-sū maiñ ne
ka.ī baras se sañbhālā huā hai 'mustahsan'
tumhārā zaḳhm kiyā hī nahīñ rafū maiñ ne
charagh rakh ke darichon ke ru-ba-ru main ne
bana liya hai tera aks hu-bahu main ne
kisi nigah se ek lahr aane wali hai
suni hai raat samundar ki guftugu main ne
ye kaun aankh ke zindan mein qaid ho gaya hai
ye kis ke waste dil kar liya lahu main ne
nazar wajud tabassum juda juda kar ke
bikher rakkha hai KHud ko hi chaar-su main ne
kai baras se sanbhaala hua hai 'mustahsan'
tumhaara zaKHm kiya hi nahin rafu main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.