charagh zabt-e-tamanna se jal na jaen kahin
charāġh zabt-e-tamannā se jal na jaa.eñ kahīñ
guloñ ke ashk sitāroñ meñ Dhal na jaa.eñ kahīñ
isī liye haiñ garāñ-pā ki ham jo tez chale
dayār-e-yār se aage nikal na jaa.eñ kahīñ
bichhā rahe haiñ mirī raah meñ jo añgāre
vo haath phuul haiñ Dartā huuñ jal na jaa.eñ kahīñ
qadam qadam pe bichhāo bisāt-e-kaif-o-nishāt
sharāb aur pilāo sambhal na jaa.eñ kahīñ
har ek gaam pe ashkoñ ke garm chashme haiñ
diloñ ke sañg sambhālo pighal na jaa.eñ kahīñ
chale chalo ki bharosa nahīñ havāoñ kā
abhī haiñ saath abhī ruḳh badal na jaa.eñ kahīñ
dar-e-habīb ho yā kūcha-e-adū 'ḳhālid'
ye aarzū hai ki ab sar ke bal na jaa.eñ kahīñ
charagh zabt-e-tamanna se jal na jaen kahin
gulon ke ashk sitaron mein Dhal na jaen kahin
isi liye hain garan-pa ki hum jo tez chale
dayar-e-yar se aage nikal na jaen kahin
bichha rahe hain meri rah mein jo angare
wo hath phul hain Darta hun jal na jaen kahin
qadam qadam pe bichhao bisat-e-kaif-o-nishat
sharab aur pilao sambhal na jaen kahin
har ek gam pe ashkon ke garm chashme hain
dilon ke sang sambhaalo pighal na jaen kahin
chale chalo ki bharosa nahin hawaon ka
abhi hain sath abhi ruKH badal na jaen kahin
dar-e-habib ho ya kucha-e-adu 'KHalid'
ye aarzu hai ki ab sar ke bal na jaen kahin
- Book : Lab-e-Saher (Pg. 99)
- Author : Khalid Yusuf
- Publication : Institute of Third World Art & Literature (1987)
- Edition : 1987
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.