charaghon ki lau bujh gai so gai
charāġhoñ kī lau bujh ga.ī so ga.ī
sar-e-shām hī raushnī so ga.ī
kisī saaz par naach kar ye huā
kahīñ farsh par gir ga.ī so ga.ī
sunī der tak loriyāñ god meñ
bahut thak ga.ī chāñdnī so ga.ī
abhī os sone de us ko zarā
abhī phuul kī pankhuḌī so ga.ī
kivāḌoñ ke paT band kar ke kanīz
dar-e-hijr par jāgtī so ga.ī
siyah raat meñ baal khole hue
udāsī badan nochtī so ga.ī
ka.ī shab kī jaagī huī sāñvlī
lihāf oḌh kar jald hī so ga.ī
charaghon ki lau bujh gai so gai
sar-e-sham hi raushni so gai
kisi saz par nach kar ye hua
kahin farsh par gir gai so gai
suni der tak loriyan god mein
bahut thak gai chandni so gai
abhi os sone de us ko zara
abhi phul ki pankhuDi so gai
kiwaDon ke paT band kar ke kaniz
dar-e-hijr par jagti so gai
siyah raat mein baal khole hue
udasi badan nochti so gai
kai shab ki jagi hui sanwli
lihaf oDh kar jald hi so gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.