charaghon se ye daman apna bhar lun
charāġhoñ se ye dāman apnā bhar luuñ
ujālā zindagī meñ apnī kar luuñ
darāreñ to kabhī aa kar raheñgī
maiñ chāhe jitnā bhī mazbūt ghar luuñ
siyāhī to ta.āqub meñ rahegī
bhale kitnā bhī kyoñ na ban sañvar luuñ
musībat ranj-o-ġham taklīf-e-insāñ
uThā kar maiñ inheñ shānoñ pe dhar luuñ
mire ghar se koī bhūkā na jaa.e
ḳhudāyā tujh se maiñ itnā hī zar luuñ
irādoñ ko mire parvāz de de
'anīs' aisā duāoñ meñ asar luuñ
charaghon se ye daman apna bhar lun
ujala zindagi mein apni kar lun
dararen to kabhi aa kar rahengi
main chahe jitna bhi mazbut ghar lun
siyahi to taaqub mein rahegi
bhale kitna bhi kyon na ban sanwar lun
musibat ranj-o-gham taklif-e-insan
uTha kar main inhen shanon pe dhar lun
mere ghar se koi bhuka na jae
KHudaya tujh se main itna hi zar lun
iradon ko mere parwaz de de
'anis' aisa duaon mein asar lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.