charcha hai aaj bas yahi har ek zaban par
charchā hai aaj bas yahī har ik zabān par
jaldī banegī film mirī dāstān par
maiñ ne jamā ke rakhe haiñ dhartī pe apne paañv
nazreñ Tikī huiiñ haiñ bhale āsmān par
is or ruḳh bhī karte hue Dar rahe the log
qabza na kar sakā koī dil ke makān par
is baat par research kareñge ki āḳhirash
kyoñ tiir kā nishān hai dil ke nishān par
'agyāt' jab se ġham ne hai ghuspaiTh dil meñ kī
ban aa.ī hai tabhī se to ḳhushiyoñ kī jaan par
charcha hai aaj bas yahi har ek zaban par
jaldi banegi film meri dastan par
main ne jama ke rakhe hain dharti pe apne panw
nazren Tiki huin hain bhale aasman par
is or ruKH bhi karte hue Dar rahe the log
qabza na kar saka koi dil ke makan par
is baat par research karenge ki aaKHirash
kyon tir ka nishan hai dil ke nishan par
'agyat' jab se gham ne hai ghuspaiTh dil mein ki
ban aai hai tabhi se to KHushiyon ki jaan par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.