charcha hai bahut jis ka yahan nam bahut hai
charchā hai bahut jis kā yahāñ naam bahut hai
dar-parda vahī shaḳhs ḳhūñ-āshām bahut hai
itnā hī tire qurb kā hangām bahut hai
ik shaam jo mil jaa.e vahī shaam bahut hai
kaafī hai bahalne ko tirī yaad kī daulat
ai rāhat-e-dil terā ye in.aam bahut hai
har moḌ pe dhokā hai yahāñ kaise basar ho
ye dahr pur-az-kulfat-o-ālām bahut hai
do ghūñT se kyā hogā abhī aur pilā tū
ai pīr-e-muġhāñ talḳhī-e-ayyām bahut hai
bas thoḌī sī mohlat tū mujhe aur atā kar
haañ ai malak-ul-maut abhī kaam bahut hai
kuchh baat yaqīnan hai tirī zaat meñ 'tāriq'
is shahr meñ aaya hai to kohrām bahut hai
charcha hai bahut jis ka yahan nam bahut hai
dar-parda wahi shaKHs KHun-asham bahut hai
itna hi tere qurb ka hangam bahut hai
ek sham jo mil jae wahi sham bahut hai
kafi hai bahalne ko teri yaad ki daulat
ai rahat-e-dil tera ye inam bahut hai
har moD pe dhoka hai yahan kaise basar ho
ye dahr pur-az-kulfat-o-alam bahut hai
do ghunT se kya hoga abhi aur pila tu
ai pir-e-mughan talKHi-e-ayyam bahut hai
bas thoDi si mohlat tu mujhe aur ata kar
han ai malak-ul-maut abhi kaam bahut hai
kuchh baat yaqinan hai teri zat mein 'tariq'
is shahr mein aaya hai to kohram bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.