chashm-e-bina ho to qaid-e-haram-o-tur nahin
chashm-e-bīnā ho to qaid-e-haram-o-tūr nahīñ
dekhne vaalī nigāhoñ se vo mastūr nahīñ
kaun sā ghar hai javāñ jalvoñ se pur-nūr nahīñ
ik mire dil kī hī duniyā hai jo mā'mūr nahīñ
apnī himmat hī se pahuñchūñgā sar-e-manzil-e-shauq
luuñ sahārā maiñ kisī kā mujhe manzūr nahīñ
ġham-e-jānāñ ko bhulā duuñ na karūñ dost ko yaad
itnā maiñ ai ġham-e-daurāñ abhī majbūr nahīñ
ye mohabbat kī hai qīmat ye mohabbat kā sila
ki hamāre hī liye ishq kā dastūr nahīñ
donoñ 'ālam ko Dubo de jo mai-o-mīnā meñ
chashm-e-sāqī ke sivā aur kā maqdūr nahīñ
muskurā do to mirā ġhuncha-e-dil khil jaa.e
dil kabhī khil na sake aisā bhī ranjūr nahīñ
tum nahīñ paas magar saath hai yādoñ kā hujūm
maiñ akelā nahīñ bekas nahīñ mahjūr nahīñ
aaj kuchh shaam se tārīk hai dil kī mahfil
tum nahīñ ho to vo raunaq nahīñ vo nuur nahīñ
mujh meñ himmat hai ki maiñ raaz ko ifshā na karūñ
ye mirā zarf hai ye sheva-e-mansūr nahīñ
kar sakegā na judā fāsla-e-vaqt-o-makāñ
duur nazroñ se sahī dil se magar duur nahīñ
merī taqdīr meñ 'darshan' haiñ kisī ke jalve
shukr sad shukr ki duniyā mirī be-nūr nahīñ
chashm-e-bina ho to qaid-e-haram-o-tur nahin
dekhne wali nigahon se wo mastur nahin
kaun sa ghar hai jawan jalwon se pur-nur nahin
ek mere dil ki hi duniya hai jo ma'mur nahin
apni himmat hi se pahunchunga sar-e-manzil-e-shauq
lun sahaara main kisi ka mujhe manzur nahin
gham-e-jaanan ko bhula dun na karun dost ko yaad
itna main ai gham-e-dauran abhi majbur nahin
ye mohabbat ki hai qimat ye mohabbat ka sila
ki hamare hi liye ishq ka dastur nahin
donon 'alam ko Dubo de jo mai-o-mina mein
chashm-e-saqi ke siwa aur ka maqdur nahin
muskura do to mera ghuncha-e-dil khil jae
dil kabhi khil na sake aisa bhi ranjur nahin
tum nahin pas magar sath hai yaadon ka hujum
main akela nahin bekas nahin mahjur nahin
aaj kuchh sham se tarik hai dil ki mahfil
tum nahin ho to wo raunaq nahin wo nur nahin
mujh mein himmat hai ki main raaz ko ifsha na karun
ye mera zarf hai ye shewa-e-mansur nahin
kar sakega na juda fasla-e-waqt-o-makan
dur nazron se sahi dil se magar dur nahin
meri taqdir mein 'darshan' hain kisi ke jalwe
shukr sad shukr ki duniya meri be-nur nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.