chashm-e-bina ki zarurat hai parakhne ke liye
chashm-e-bīnā kī zarūrat hai parakhne ke liye
umr darkār hai insāñ ko samajhne ke liye
kaash ho jaa.e guzar bād-e-sabā kā un tak
vo jo kaliyāñ haiñ chaman meñ abhī khilne ke liye
jaan qurbān to parvāne ne kar dī lekin
rah ga.ī sham.a magar raat meñ jalne ke liye
dekh lo saaf nahīñ hai abhī matl.a shāyad
hai abhī aur ghaTā koī barasne ke liye
hausla jaise bhī chāheñ vo nikāleñ apnā
ye jo do-chār abhī naag haiñ Dasne ke liye
aap dīvāna samajhte haiñ to samjheñ lekin
maiñ to ḳhud Thokareñ khātā huuñ sañbhalne ke liye
jaane kab tak tumheñ is dahr meñ ronā hogā
aur hañs lo abhī kuchh vaqt hai hañsne ke liye
koī qātil koī zālim koī hāsid hai yahāñ
kis se āmāda rahūñ 'fauq' maiñ laḌne ke liye
chashm-e-bina ki zarurat hai parakhne ke liye
umr darkar hai insan ko samajhne ke liye
kash ho jae guzar baad-e-saba ka un tak
wo jo kaliyan hain chaman mein abhi khilne ke liye
jaan qurban to parwane ne kar di lekin
rah gai shama magar raat mein jalne ke liye
dekh lo saf nahin hai abhi matla shayad
hai abhi aur ghaTa koi barasne ke liye
hausla jaise bhi chahen wo nikalen apna
ye jo do-chaar abhi nag hain Dasne ke liye
aap diwana samajhte hain to samjhen lekin
main to KHud Thokaren khata hun sanbhalne ke liye
jaane kab tak tumhein is dahr mein rona hoga
aur hans lo abhi kuchh waqt hai hansne ke liye
koi qatil koi zalim koi hasid hai yahan
kis se aamada rahun 'fauq' main laDne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.