chashm-e-ghazab jo unki karam mein badal gai
chashm-e-ġhazab jo un kī karam meñ badal ga.ī
aa.ī huī har ek balā ḳhud hī Tal ga.ī
terā karam nahīñ hai to phir aur kyā hai ye
lākhoñ kī baat kaT ke mirī baat chal ga.ī
dārū-e-chārāgar na huī kārgar magar
dīdār-e-yār hī se tabī.at sañbhal ga.ī
ummīd-e-iltifāt meñ har din guzar gayā
takmīl-e-intizār meñ har raat Dhal ga.ī
pā-bosiyoñ kī mujh ko sazā tum ne dī magar
kyā kar liyā sabā kā jo har shai masal ga.ī
tū ne buland mujh ko kiyā jab jahān meñ
duniyā hasad kī aag meñ ik laḳht jal ga.ī
'ḳhākī' vo do-ghaḌī kī ḳhushī le ke kyā kare
mauj-e-sabā kī tarah jo dil se nikal ga.ī
chashm-e-ghazab jo un ki karam mein badal gai
aai hui har ek bala KHud hi Tal gai
tera karam nahin hai to phir aur kya hai ye
lakhon ki baat kaT ke meri baat chal gai
daru-e-chaaragar na hui kargar magar
didar-e-yar hi se tabiat sanbhal gai
ummid-e-iltifat mein har din guzar gaya
takmil-e-intizar mein har raat Dhal gai
pa-bosiyon ki mujh ko saza tum ne di magar
kya kar liya saba ka jo har shai masal gai
tu ne buland mujh ko kiya jab jahan mein
duniya hasad ki aag mein ek laKHt jal gai
'KHaki' wo do-ghaDi ki KHushi le ke kya kare
mauj-e-saba ki tarah jo dil se nikal gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.