chashm-e-girya pe dhuan tha pahle
chashm-e-girya pe dhuāñ thā pahle
din meñ bhī shab kā gumāñ thā pahle
zaḳhm to thā magar ai rāhat-e-jāñ
is qadar dard kahāñ thā pahle
naam lenā bhī nahīñ ab to ravā
maiñ tire dil kī zabāñ thā pahle
tere chhūne se huā huuñ sarsabz
maiñ to ik barg-e-ḳhizāñ thā pahle
jam gayā tere bichhaḌne se lahū
ye rag-o-pai meñ ravāñ thā pahle
ab nikaltā nahīñ ghar se 'adnān'
shahr kī rūh-e-ravāñ thā pahle
chashm-e-girya pe dhuan tha pahle
din mein bhi shab ka guman tha pahle
zaKHm to tha magar ai rahat-e-jaan
is qadar dard kahan tha pahle
nam lena bhi nahin ab to rawa
main tere dil ki zaban tha pahle
tere chhune se hua hun sarsabz
main to ek barg-e-KHizan tha pahle
jam gaya tere bichhaDne se lahu
ye rag-o-pai mein rawan tha pahle
ab nikalta nahin ghar se 'adnan'
shahr ki ruh-e-rawan tha pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.