chashm-e-giryan ko jo baada the banane wale
chashm-e-giryāñ ko jo baada the banāne vaale
ro paḌe aaj vo logoñ ko hañsāne vaale
tum to paanī kī mohabbat meñ yahāñ tak aa.e
ham to pāgal the kināroñ ko milāne vaale
har nayā shaḳhs to matlab kī vafā māñge hai
DhūñD laate haiñ vahī yaar purāne vaale
yaad karnā bhī to lāzim hai bhulāne ke liye
is tarah kaise bhulā.eñge bhulāne vaale
roz paanī meñ utartā hai koī kachchā ghaḌā
roz marte haiñ vafāoñ ko nibhāne vaale
lauT aa.e ho mire paas to yuuñ lagtā hai
mar ga.e saare tire naaz uThāne vaale
jab koī kāñdhā mayassar na ho sar rakhne ko
dukh bhalā kaise sunā.eñge sunāne vaale
chashm-e-giryan ko jo baada the banane wale
ro paDe aaj wo logon ko hansane wale
tum to pani ki mohabbat mein yahan tak aae
hum to pagal the kinaron ko milane wale
har naya shaKHs to matlab ki wafa mange hai
DhunD late hain wahi yar purane wale
yaad karna bhi to lazim hai bhulane ke liye
is tarah kaise bhulaenge bhulane wale
roz pani mein utarta hai koi kachcha ghaDa
roz marte hain wafaon ko nibhane wale
lauT aae ho mere pas to yun lagta hai
mar gae sare tere naz uThane wale
jab koi kandha mayassar na ho sar rakhne ko
dukh bhala kaise sunaenge sunane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.