chashm-e-hairan ko yun hi mahw-e-nazar chhoD gae
chashm-e-hairāñ ko yuuñ hī mahv-e-nazar chhoḌ ga.e
dil meñ lahrā.e ḳhayāloñ meñ sharar chhoḌ ga.e
jin ke saa.e meñ kabhī baiTh ke sustāyā thā
vo ghane peḌ mirī rāh-guzar chhoḌ ga.e
muntazir un ke liye hai kisī girdāb kī aañkh
ḳhud safīnoñ ko jo hañgām-e-ḳhatar chhoḌ ga.e
qāfile nuur ke utre na kisī manzil par
shab ke nam-dīda kināroñ pe sahar chhoḌ ga.e
ḳhīrgī hai ki utartī hī nahīñ āñkhoñ se
kin añdheroñ meñ hameñ shams-o-qamar chhoḌ ga.e
le ga.e log jabīnoñ meñ ibādat kā ġhurūr
kitne sajdoñ ko magar ḳhāk-basar chhoḌ ga.e
aa.e āñkhoñ meñ na dam bhar ko sulagte aañsū
parda-e-chashm pe ik naqsh magar chhoḌ ga.e
raat ke aks jo shabnam meñ utarne aa.e
kitne phūloñ meñ 'samad' dāġh-e-jigar chhoḌ ga.e
chashm-e-hairan ko yun hi mahw-e-nazar chhoD gae
dil mein lahrae KHayalon mein sharar chhoD gae
jin ke sae mein kabhi baiTh ke sustaya tha
wo ghane peD meri rah-guzar chhoD gae
muntazir un ke liye hai kisi girdab ki aankh
KHud safinon ko jo hangam-e-KHatar chhoD gae
qafile nur ke utre na kisi manzil par
shab ke nam-dida kinaron pe sahar chhoD gae
KHirgi hai ki utarti hi nahin aankhon se
kin andheron mein hamein shams-o-qamar chhoD gae
le gae log jabinon mein ibaadat ka ghurur
kitne sajdon ko magar KHak-basar chhoD gae
aae aankhon mein na dam bhar ko sulagte aansu
parda-e-chashm pe ek naqsh magar chhoD gae
raat ke aks jo shabnam mein utarne aae
kitne phulon mein 'samad' dagh-e-jigar chhoD gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.