Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm-e-mushtaq-e-mulaqat kahan thi pahle

Rangeshwar Dayal Saxena Sufi

chashm-e-mushtaq-e-mulaqat kahan thi pahle

Rangeshwar Dayal Saxena Sufi

MORE BYRangeshwar Dayal Saxena Sufi

    chashm-e-mushtāq-e-mulāqāt kahāñ thī pahle

    dil meñ tuġhyānī-e-jazbāt kahāñ thī pahle

    baad nākāmī-e-bisyār huī hai hāsil

    jazb-e-dil meñ ye karāmāt kahāñ thī pahle

    hech hai jis nigāhoñ meñ matā.a-e-taskīñ

    dil-e-betāb meñ ye baat kahāñ thī pahle

    shauq-e-sādiq badaulat ye huī hai ai dost

    dard se dil mulāqāt kahāñ thī pahle

    jis ko dekho nazar aatā hai giraftār-e-alam

    is qadar kasrat-e-āfāt kahāñ thī pahle

    ab to bin-dekhe tire jiinā huā hai dūbhar

    tere dīvāne meñ ye baat kahāñ thī pahle

    roz girtā chalā jaatā hai aḳhlāq-e-jahāñ

    'sūfī' ye sūrat-e-hālāt kahāñ thī pahle

    chashm-e-mushtaq-e-mulaqat kahan thi pahle

    dil mein tughyani-e-jazbaat kahan thi pahle

    baad nakaami-e-bisyar hui hai hasil

    jazb-e-dil mein ye karamat kahan thi pahle

    hech hai jis ki nigahon mein mataa-e-taskin

    dil-e-betab mein ye baat kahan thi pahle

    shauq-e-sadiq ki badaulat ye hui hai ai dost

    dard se dil ki mulaqat kahan thi pahle

    jis ko dekho nazar aata hai giraftar-e-alam

    is qadar kasrat-e-afat kahan thi pahle

    ab to bin-dekhe tere jina hua hai dubhar

    tere diwane mein ye baat kahan thi pahle

    roz girta hi chala jata hai aKHlaq-e-jahan

    'sufi' ye surat-e-haalat kahan thi pahle

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now