chashm-e-mushtaq ne ye KHwab ajab dekhe hain
chashm-e-mushtāq ne ye ḳhvāb ajab dekhe haiñ
dil ke ā.īne meñ sau aks haiñ sab tere haiñ
zindagī se bhī nibāheñ tujhe apnā bhī kaheñ
is kashākash meñ shab o roz guzar jaate haiñ
ḳhāna-e-dil meñ thā kyā kyā na ummīdoñ kā hujūm
ḳhāna vīrāñ hai to rāzī-ba-razā baiThe haiñ
daulat-e-ġham bhī ḳhas-o-ḳhāk-e-zamāna meñ ga.ī
tum ga.e ho to mah-o-sāl kahāñ Thahre haiñ
abhī kuchh der na Duub ai mah-e-tābān-e-firāq
abhī kuchh ḳhvāb bhī jī bhar ke kahāñ dekhe haiñ
chashm-e-mushtaq ne ye KHwab ajab dekhe hain
dil ke aaine mein sau aks hain sab tere hain
zindagi se bhi nibahen tujhe apna bhi kahen
is kashakash mein shab o roz guzar jate hain
KHana-e-dil mein tha kya kya na ummidon ka hujum
KHana viran hai to raazi-ba-raza baiThe hain
daulat-e-gham bhi KHas-o-KHak-e-zamana mein gai
tum gae ho to mah-o-sal kahan Thahre hain
abhi kuchh der na Dub ai mah-e-taban-e-firaq
abhi kuchh KHwab bhi ji bhar ke kahan dekhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.