chashm-e-nam ho to umañD aate haiñ dariyā muñh par
khīñchiye aah to aatā hai kalejā muñh par
ḳhāl-e-ruḳhsār ko tere nahīñ dekhā jaise
sau qasam liije jo ik daana ho rakkhā muñh par
rū-e-gul-rang pe āḳhir ḳhat-e-sabz aa hī gayā
hai masal jis se Dare phir vahī aaya muñh par
ḳhvāb gūñge kā huā yaar kā shikva goyā
dil meñ phirtā hai magar lā nahīñ saktā muñh par
kal jo tum bose pe bigḌe the ki kis vaqt kahāñ
le ke muñh apnā sā rah jaate jo kahtā muñh par
ham se yuuñ kaḌvī raqīboñ se ye mīThī bāteñ
jhuuT kyā zahr hai sach baat kā kahnā muñh par
jī jalāte haiñ hasīñ kaun muñh aisoñ ke lage
koī detā nahīñ angāre ke bosā muñh par
evaz-e-bosa mazā thā jo vo gaalī detā
lāl-e-lab muñh mire lagtā to maiñ chaḌhtā muñh par
pāk-bāzoñ se hijāb aap ko be-vaj.h nahīñ
dil meñ ho sharm to hai aañkh kā pardā muñh par
sūrat-e-nai kabhī ġhībat meñ na dam māreñge
saaf jo ho.egā dil kā vo kahegā muñh par
nāma-bar ko to sunānī thī safā ġhībat meñ
ḳhat ke aane kā sunāyā hameñ fiqrā muñh par
chashm-e-nam ho to umanD aate hain dariya munh par
khinchiye aah to aata hai kaleja munh par
KHal-e-ruKHsar ko tere nahin dekha jaise
sau qasam lije jo ek dana ho rakkha munh par
ru-e-gul-rang pe aaKHir KHat-e-sabz aa hi gaya
hai masal jis se Dare phir wahi aaya munh par
KHwab gunge ka hua yar ka shikwa goya
dil mein phirta hai magar la nahin sakta munh par
kal jo tum bose pe bigDe the ki kis waqt kahan
le ke munh apna sa rah jate jo kahta munh par
hum se yun kaDwi raqibon se ye miThi baaten
jhuT kya zahr hai sach baat ka kahna munh par
ji jalate hain hasin kaun munh aison ke lage
koi deta nahin angare ke bosa munh par
ewaz-e-bosa maza tha jo wo gali deta
lal-e-lab munh mere lagta to main chaDhta munh par
pak-bazon se hijab aap ko be-wajh nahin
dil mein ho sharm to hai aankh ka parda munh par
surat-e-nai kabhi ghibat mein na dam marenge
saf jo hoega dil ka wo kahega munh par
nama-bar ko to sunani thi safa ghibat mein
KHat ke aane ka sunaya hamein fiqra munh par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.