chashm-e-nam pahle shafaq ban ke sanwarna chahe
chashm-e-nam pahle shafaq ban ke sañvarnā chāhe
aur phir ret ke dāman pe bikharnā chāhe
ajab insān hai vo sehr ye karnā chāhe
aañkh se dekho agar dil meñ utarnā chāhe
kuchh ajab us se ta.alluq hai ki us kī har baat
mauj-e-ḳhūñ ban ke mire sar se guzarnā chāhe
saarā din dhuup ke sahrā meñ rahe sargardāñ
shaam hote hī samundar meñ utarnā chāhe
ḳhud rahe ta.an-o-malāmat kā hadaf us pe kabhī
apnī rusvā.ī kā ilzām na dharnā chāhe
aa.ina jaañ kā mukaddar sahī lekin 'shāhīn'
dil kī tasvīr to āñkhoñ meñ utarnā chāhe
chashm-e-nam pahle shafaq ban ke sanwarna chahe
aur phir ret ke daman pe bikharna chahe
ajab insan hai wo sehr ye karna chahe
aankh se dekho agar dil mein utarna chahe
kuchh ajab us se talluq hai ki us ki har baat
mauj-e-KHun ban ke mere sar se guzarna chahe
sara din dhup ke sahra mein rahe sargardan
sham hote hi samundar mein utarna chahe
KHud rahe tan-o-malamat ka hadaf us pe kabhi
apni ruswai ka ilzam na dharna chahe
aaina jaan ka mukaddar sahi lekin 'shahin'
dil ki taswir to aankhon mein utarna chahe
- Book : Gaye Ruton Ke Zakhm (Pg. 39)
- Author : Salma Shaheen
- Publication : Educational Publishing House (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.