chashm-e-saqi se muskura kar pi
chashm-e-sāqī se muskurā kar pī
mai-kade ko jināñ banā kar pī
laḌkhaḌāne kī kyā zarūrat hai
aql ko niiñd se jagā kar pī
vasl se dūriyāñ banā.e rakh
ziist ko hijr meñ milā kar pī
jaam kā lutf hogā do-bālā
us kī sūrat nazar meñ lā kar pī
toḌ de aaj mai-kashī ke usuul
sāqiyā chhūT hai dabā kar pī
TuuT jā.egā ġham kā paimāna
aaj kī raat dil lagā kar pī
mai kī botal girā de zaḳhmoñ par
ātish-e-qalb ko bujhā kar pī
aaj pahlī hai shab judā.ī kī
apnī āñkhoñ se ḳhuuñ bahā kar pī
jo kisī ke nahīñ hue 'mehvar'
aise afrād ko bhulā kar pī
chashm-e-saqi se muskura kar pi
mai-kade ko jinan bana kar pi
laDkhaDane ki kya zarurat hai
aql ko nind se jaga kar pi
wasl se duriyan banae rakh
zist ko hijr mein mila kar pi
jam ka lutf hoga do-baala
us ki surat nazar mein la kar pi
toD de aaj mai-kashi ke usul
saqiya chhuT hai daba kar pi
TuT jaega gham ka paimana
aaj ki raat dil laga kar pi
mai ki botal gira de zaKHmon par
aatish-e-qalb ko bujha kar pi
aaj pahli hai shab judai ki
apni aankhon se KHun baha kar pi
jo kisi ke nahin hue 'mehwar'
aise afrad ko bhula kar pi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.