chashm-e-sail-e-rawan se uTThega
chashm-e-sail-e-ravāñ se uTThegā
dard phir ḳhāk-e-jāñ se uTThegā
kab kisī āsmāñ se uTThegā
hashr soz-e-nihāñ se uTThegā
'mīr' kā soz hī jigar meñ nahīñ
phir dhuāñ sā kahāñ se uTThegā
jis ke māthe pe chāñd raushan hai
surḳh-rū vo jahāñ se uTThegā
nuur ke lafz paḌh ke soyā hai
ab sadā-e-azāñ se uTThegā
chashm-e-sail-e-rawan se uTThega
dard phir KHak-e-jaan se uTThega
kab kisi aasman se uTThega
hashr soz-e-nihan se uTThega
'mir' ka soz hi jigar mein nahin
phir dhuan sa kahan se uTThega
jis ke mathe pe chand raushan hai
surKH-ru wo jahan se uTThega
nur ke lafz paDh ke soya hai
ab sada-e-azan se uTThega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.