chashm-e-tar jam dil-e-baada-kashan hai shisha
chashm-e-tar jaam dil-e-bāda-kashāñ hai shīsha
mohtasib aaj kidhar jaam kahāñ hai shīsha
bazm-e-sāqī meñ jo āvāz nahīñ qulqul kī
is qadar aaj ye kyuuñ pamba-dahāñ hai shīsha
mohtasib sañg liye haath meñ aur sū-e-falak
dam-ba-dam chashm-e-dahan se nigarāñ hai shīsha
paañv rakhtā hī nahīñ naaz se bālā-e-zamīñ
kaf-ba-kaf bazm meñ saaqī kī ravāñ hai shīsha
hai tarāvish meñ 'baqā' is se mai-e-nāb-suḳhan
hai bajā kahiye agar apnā dahāñ hai shīsha
chashm-e-tar jam dil-e-baada-kashan hai shisha
mohtasib aaj kidhar jam kahan hai shisha
bazm-e-saqi mein jo aawaz nahin qulqul ki
is qadar aaj ye kyun pamba-dahan hai shisha
mohtasib sang liye hath mein aur su-e-falak
dam-ba-dam chashm-e-dahan se nigaran hai shisha
panw rakhta hi nahin naz se baala-e-zamin
kaf-ba-kaf bazm mein saqi ki rawan hai shisha
hai tarawish mein 'baqa' is se mai-e-nab-suKHan
hai baja kahiye agar apna dahan hai shisha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.