chashm-e-tar le ke jo us ghar se nikal jaun main
chashm-e-tar le ke jo us ghar se nikal jā.ūñ maiñ
sab badal jaa.e jo manzar se nikal jā.ūñ maiñ
zindagī mujh pe musallat hai kisī Dar kī tarah
kaise jī pā.ūñ jo is Dar se nikal jā.ūñ maiñ
maiñ yahāñ qaid huuñ mūrat kī tarah sañg-tarāsh
tū agar chāhe to patthar se nikal jā.ūñ maiñ
phir to aage ka.ī nadiyāñ ka.ī chashme hoñge
bas shab-o-roz ke asthar se nikal jā.ūñ maiñ
ḳhair mujh ko jo pukāre kabhī bāhar kī taraf
apne andar ke har ik shar se nikal jā.ūñ maiñ
dil-e-yaktā jo mirā saath gavārā hī nahīñ
ruuh ban kar tire paikar se nikal jā.ūñ maiñ
jism zindāñ hī sahī soch magar bāra-darī
jis taraf chāhūñ kisī dar se nikal jā.ūñ maiñ
chashm-e-tar le ke jo us ghar se nikal jaun main
sab badal jae jo manzar se nikal jaun main
zindagi mujh pe musallat hai kisi Dar ki tarah
kaise ji paun jo is Dar se nikal jaun main
main yahan qaid hun murat ki tarah sang-tarash
tu agar chahe to patthar se nikal jaun main
phir to aage kai nadiyan kai chashme honge
bas shab-o-roz ke asthar se nikal jaun main
KHair mujh ko jo pukare kabhi bahar ki taraf
apne andar ke har ek shar se nikal jaun main
dil-e-yakta jo mera sath gawara hi nahin
ruh ban kar tere paikar se nikal jaun main
jism zindan hi sahi soch magar bara-dari
jis taraf chahun kisi dar se nikal jaun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.