chashm-e-ulfat ajib hoti hai
chashm-e-ulfat ajiib hotī hai
mujh se har shai qarīb hotī hai
baat jab baḌh ga.ī mohabbat meñ
apnī hastī raqīb hotī hai
jis ko chāhe na koī duniyā meñ
us kī duniyā ajiib hotī hai
aisā hotā hai yaad kuchh bhī nahīñ
yuuñ bhī yād-e-habīb hotī hai
sāmne vo hoñ aur baat na ho
vo ghaḌī bad-nasīb hotī hai
un kī bātoñ se zaḳhm khā ke mujhe
ik masarrat nasīb hotī hai
mujh ko jhūTī tasalliyāñ to na do
dil kī hālat ajiib hotī hai
qalb-e-sayyād ke liye tūfāñ
fursat-e-andalīb hotī hai
hijr meñ maut hī nahīñ 'shamsī'
zindagī bhī qarīb hotī hai
chashm-e-ulfat ajib hoti hai
mujh se har shai qarib hoti hai
baat jab baDh gai mohabbat mein
apni hasti raqib hoti hai
jis ko chahe na koi duniya mein
us ki duniya ajib hoti hai
aisa hota hai yaad kuchh bhi nahin
yun bhi yaad-e-habib hoti hai
samne wo hon aur baat na ho
wo ghaDi bad-nasib hoti hai
un ki baaton se zaKHm kha ke mujhe
ek masarrat nasib hoti hai
mujh ko jhuTi tasalliyan to na do
dil ki haalat ajib hoti hai
qalb-e-sayyaad ke liye tufan
fursat-e-andalib hoti hai
hijr mein maut hi nahin 'shamsi'
zindagi bhi qarib hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.