chashm-e-yaqin se dekhiye jalwa-gah-e-sifat mein
chashm-e-yaqīñ se dekhiye jalva-gah-e-sifāt meñ
husn hī husn hai tamām ishq kī kā.enāt meñ
aise bhī vaqt aa.e haiñ ishq kī vārdāt meñ
mastiyāñ jhuum jhuum uThīñ dīda-e-kā.ināt meñ
tū mirī sarguzisht-e-ġham sun ke karegā kyā nadīm
vaqf-e-ḳhalish hai har-nafas dard hai baat baat meñ
jām-o-sharāb-o-ḳhum subū sāqiyā haiñ barā.e-nām
nashsha tirī nazar kā hai mai-kada-e-hayāt meñ
jis kā aniis terā ġham jis kī rafīq terī yaad
us ko milā sukūn-e-dil bazm-e-taġhayyurāt meñ
tark-o-talab ke marhale is tarah ham ne tai kiye
sāmne mere vo rahe ā.īna-e-hayāt meñ
ālam-e-be-ḳhudī meñ gar sajda kiyā koī 'vaqār'
ban gayā naqsh-e-jāvedāñ manzil-e-be-sabāt meñ
chashm-e-yaqin se dekhiye jalwa-gah-e-sifat mein
husn hi husn hai tamam ishq ki kaenat mein
aise bhi waqt aae hain ishq ki wardat mein
mastiyan jhum jhum uThin dida-e-kainat mein
tu meri sarguzisht-e-gham sun ke karega kya nadim
waqf-e-KHalish hai har-nafas dard hai baat baat mein
jam-o-sharab-o-KHum subu saqiya hain barae-nam
nashsha teri nazar ka hai mai-kada-e-hayat mein
jis ka anis tera gham jis ki rafiq teri yaad
us ko mila sukun-e-dil bazm-e-taghayyuraat mein
tark-o-talab ke marhale is tarah hum ne tai kiye
samne mere wo rahe aaina-e-hayat mein
aalam-e-be-KHudi mein gar sajda kiya koi 'waqar'
ban gaya naqsh-e-jawedan manzil-e-be-sabaat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.