chashm ko shauq-e-ashk-bari hai
chashm ko shauq-e-ashk-bari hai
Meer Muzaffar Husain Zameer
MORE BYMeer Muzaffar Husain Zameer
chashm ko shauq-e-ashk-bārī hai
chashma-e-faiz hai ki jaarī hai
sozan-e-īsvī se kyā hogā
zaḳhm apne jigar kā kaarī hai
ham kahīñ aur tum kahīñ sāhab
ḳhaak ye zindagī hamārī hai
rakh ke sar us qadam pe mar jaatā
bas yahī tarz-e-jāñ-nisārī hai
kis kā sonā kise hai aatī niiñd
shab-e-hijrāñ hai aur ashk-bārī hai
ye jo uḌtī hai tere kūcha meñ
ḳhāksāroñ kī ḳhāksārī hai
ye subuk tū ne kar diyā zālim
merā murda bhī sab ko bhārī hai
mere jiine meñ ḳhush na marne meñ
phir kaho kyā ḳhushī tumhārī hai
abr-sāñ hai hujūm-e-bārish-e-ashk
barq-sāñ shuġhl-e-be-qarārī hai
jo nahīñ thā kisī shumār meñ aah
usī āshiq ko dam-shumārī hai
kiijo barbād us ke kūche meñ
ai sabā ḳhaak ye hamārī hai
chashm ko shauq-e-ashk-bari hai
chashma-e-faiz hai ki jari hai
sozan-e-iswi se kya hoga
zaKHm apne jigar ka kari hai
hum kahin aur tum kahin sahab
KHak ye zindagi hamari hai
rakh ke sar us qadam pe mar jata
bas yahi tarz-e-jaan-nisari hai
kis ka sona kise hai aati nind
shab-e-hijran hai aur ashk-bari hai
ye jo uDti hai tere kucha mein
KHaksaron ki KHaksari hai
ye subuk tu ne kar diya zalim
mera murda bhi sab ko bhaari hai
mere jine mein KHush na marne mein
phir kaho kya KHushi tumhaari hai
abr-san hai hujum-e-barish-e-ashk
barq-san shughl-e-be-qarari hai
jo nahin tha kisi shumar mein aah
usi aashiq ko dam-shumari hai
kijo barbaad us ke kuche mein
ai saba KHak ye hamari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.