chashm meri nahin bujhi hai abhi
chashm merī nahīñ bujhī hai abhī
in charāġhoñ meñ raushnī hai abhī
us ko bhī pyaas mere ishq kī hai
dil meñ mere bhī tishnagī hai abhī
shāyad us ko pata patā hai tirā
kuchh havā mujh se kah rahī hai abhī
guftugū kī jhijhak batātī hai
tum meñ ehsās-e-kamtarī hai abhī
in pe naqqād kī nazar na paḌī
mere sheroñ meñ tāzgī hai abhī
nā-mukammal hai ishq meñ tū bhī
mere andar bhī kuchh kamī hai abhī
bazm-e-yārāñ kī kyā zarūrat hai
mujh se tanhā.ī boltī hai abhī
kis kī haiñ siskiyāñ havāoñ meñ
har taraf kaisī ḳhāmushī hai abhī
apnī ġhazloñ ko do zabāñ 'shādāb'
dāstāñ ek an-kahī hai abhī
chashm meri nahin bujhi hai abhi
in charaghon mein raushni hai abhi
us ko bhi pyas mere ishq ki hai
dil mein mere bhi tishnagi hai abhi
shayad us ko pata pata hai tera
kuchh hawa mujh se kah rahi hai abhi
guftugu ki jhijhak batati hai
tum mein ehsas-e-kamtari hai abhi
in pe naqqad ki nazar na paDi
mere sheron mein tazgi hai abhi
na-mukammal hai ishq mein tu bhi
mere andar bhi kuchh kami hai abhi
bazm-e-yaran ki kya zarurat hai
mujh se tanhai bolti hai abhi
kis ki hain siskiyan hawaon mein
har taraf kaisi KHamushi hai abhi
apni ghazlon ko do zaban 'shadab'
dastan ek an-kahi hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.