chashm-o-dil sahab-e-guftar hue jate hain
chashm-o-dil sāhab-e-guftār hue jaate haiñ
rāste aql ko dushvār hue jaate haiñ
hijr-e-derīna se ab ḳhush the bahut maiñ aur vo
ab magar fāsle bezār hue jaate haiñ
vo nigāheñ haiñ muġhannī kī thiraktī poreñ
saaz so.e hue bedār hue jaate haiñ
sher-goī tirā mansab to nahīñ tifl-e-suḳhan
haañ magar hijr meñ do chaar hue jaate haiñ
nisbat-e-abjad-e-kirdār na thī jin ko 'na.īm'
sāhab-e-azmat-e-kirdār hue jaate haiñ
chashm-o-dil sahab-e-guftar hue jate hain
raste aql ko dushwar hue jate hain
hijr-e-derina se ab KHush the bahut main aur wo
ab magar fasle bezar hue jate hain
wo nigahen hain mughanni ki thirakti poren
saz soe hue bedar hue jate hain
sher-goi tera mansab to nahin tifl-e-suKHan
han magar hijr mein do chaar hue jate hain
nisbat-e-abjad-e-kirdar na thi jin ko 'naim'
sahab-e-azmat-e-kirdar hue jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.