chashma-e-shirin alag sagar alag
chashma-e-shīrīñ alag sāgar alag
aao baiTheñ bhiiḌ se haT kar alag
rū-numā.ī ke liye aa jaao tum
merī āñkhoñ meñ hai ik manzar alag
ham ko sajde se kahāñ inkār hai
par yahāñ to dhaḌ alag hai sar alag
chehra dil kā aa.ina hai kyā kahā
aadmī andar alag bāhar alag
vo bhī thā is ḳhushnumā tasvīr meñ
ho ga.e sab rang ek-ik kar alag
ghūrte haiñ nā-mukammal she'r idhar
aur udhar haiñ aap ban-Than kar alag
chashma-e-shirin alag sagar alag
aao baiThen bhiD se haT kar alag
ru-numai ke liye aa jao tum
meri aankhon mein hai ek manzar alag
hum ko sajde se kahan inkar hai
par yahan to dhaD alag hai sar alag
chehra dil ka aaina hai kya kaha
aadmi andar alag bahar alag
wo bhi tha is KHushnuma taswir mein
ho gae sab rang ek-ik kar alag
ghurte hain na-mukammal she'r idhar
aur udhar hain aap ban-Than kar alag
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 42)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.