chashma kabhi naddi kabhi dariya mera dariya
chashma kabhī naddī kabhī dariyā mirā dariyā
chaltā rahā bahrūp badaltā mirā dariyā
bechain dar-e-hijr meñ har bahr kī bāñheñ
aur hasrat-e-pā-bosī-e-sahrā mirā dariyā
bahtā hai kisī manzar-e-nādīda kī dhun meñ
begāna-e-har-chashm-e-shanāsā mirā dariyā
har mauj hai ā.īna-e-girdāb shab-o-roz
har aks meñ rakhtā hai zamāna mirā dariyā
mujh par bhī huvaidā nahīñ hotī mirī ḳhvāhish
sairāb mirī mauj hai pyāsā mirā dariyā
naddī mire siine meñ machaltī tirī naddī
dariyā tirī āñkhoñ meñ chamaktā tirā dariyā
ḳhud asl-e-tamannā huuñ karūñ kis kī tamanna
mere hī samundar meñ giregā mirā dariyā
lagtā hai kahīñ aur bhī maiñ bahtā rahā huuñ
pahle bhī koī thī mirī duniyā mirā dariyā
naddī kī har-ik lahr ke lab par hai ye naġhma
dariyā mirā dariyā mirā dariyā mirā dariyā
har manzil-e-tahzīb hai taḳhrīb kī zad meñ
bahtā hai banātā huā rastā mirā dariyā
be-sabza-o-gul Thahrī mirī ḳhaak tan-e-ḳhvāb
merī hī zamīñ se nahīñ guzrā mirā dariyā
ai ḳhāk-e-zamīñ tū bhī hai zinda mire dam se
dil ban ke tire jism meñ dhaḌkā mirā dariyā
bādal kabhī bārish kabhī sho.ala tirī bāteñ
be-kal kabhī jal-thal kabhī jaltā mirā dariyā
kis kaam ke mere liye sadiyoñ ke samundar
ai ret kahāñ hai mirā lamha mirā dariyā
jaarī hai tahayyur ke kināroñ kā kaTāv
ab tak kahīñ jā kar nahīñ utrā mirā dariyā
ai kaash ki har lahr ko par lag ga.e hote
chhūtā tirī palkoñ kā sitārā mirā dariyā
sahrā hai usī pyaas se sairāb abhī tak
jis shaam lahū-rang huā thā mirā dariyā
'armān' maiñ ik zaḳhm-e-dil-e-mauja-e-jū huuñ
lekin hai yahī dard-e-tamannā mirā dariyā
chashma kabhi naddi kabhi dariya mera dariya
chalta raha bahrup badalta mera dariya
bechain dar-e-hijr mein har bahr ki banhen
aur hasrat-e-pa-bosi-e-sahra mera dariya
bahta hai kisi manzar-e-nadida ki dhun mein
begana-e-har-chashm-e-shanasa mera dariya
har mauj hai aaina-e-girdab shab-o-roz
har aks mein rakhta hai zamana mera dariya
mujh par bhi huwaida nahin hoti meri KHwahish
sairab meri mauj hai pyasa mera dariya
naddi mere sine mein machalti teri naddi
dariya teri aankhon mein chamakta tera dariya
KHud asl-e-tamanna hun karun kis ki tamanna
mere hi samundar mein girega mera dariya
lagta hai kahin aur bhi main bahta raha hun
pahle bhi koi thi meri duniya mera dariya
naddi ki har-ik lahr ke lab par hai ye naghma
dariya mera dariya mera dariya mera dariya
har manzil-e-tahzib hai taKHrib ki zad mein
bahta hai banata hua rasta mera dariya
be-sabza-o-gul Thahri meri KHak tan-e-KHwab
meri hi zamin se nahin guzra mera dariya
ai KHak-e-zamin tu bhi hai zinda mere dam se
dil ban ke tere jism mein dhaDka mera dariya
baadal kabhi barish kabhi shoala teri baaten
be-kal kabhi jal-thal kabhi jalta mera dariya
kis kaam ke mere liye sadiyon ke samundar
ai ret kahan hai mera lamha mera dariya
jari hai tahayyur ke kinaron ka kaTaw
ab tak kahin ja kar nahin utra mera dariya
ai kash ki har lahr ko par lag gae hote
chhuta teri palkon ka sitara mera dariya
sahra hai usi pyas se sairab abhi tak
jis sham lahu-rang hua tha mera dariya
'arman' main ek zaKHm-e-dil-e-mauja-e-ju hun
lekin hai yahi dard-e-tamanna mera dariya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.