chaTanon ki tarah hain hum magar TuTe hue bhi hain
chaTanon ki tarah hain hum magar TuTe hue bhi hain
Mohammad Asadullah
MORE BYMohammad Asadullah
chaTānoñ kī tarah haiñ ham magar TuuTe hue bhī haiñ
yahāñ har pal bikharne kā hameñ andesha rahtā hai
kabhī bātil bhagā kar haq ko le jaatā hai bastī se
kabhī haq bhes meñ bātil ke aa kar muñh chiḌhātā hai
kabhī andesha-e-bātil hameñ sone nahīñ detā
kabhī haq nīm-shab darvāza aa kar khaTkhaTātā hai
fazā.eñ ek muddat se azānoñ ko tarastī haiñ
yahāñ har shaḳhs harf-e-haq faqat kānoñ meñ kahtā hai
kahīñ ḳhud ko kisī shai kī tarah maiñ bhuul aayā huuñ
yahāñ rahte hue mujh ko to kuchh aisā hī lagtā hai
havāoñ ke alāva kaun aa.egā hamāre ghar
na jaane kis kī ḳhātir ye diyā ab jhilmilātā hai
chaTanon ki tarah hain hum magar TuTe hue bhi hain
yahan har pal bikharne ka hamein andesha rahta hai
kabhi baatil bhaga kar haq ko le jata hai basti se
kabhi haq bhes mein baatil ke aa kar munh chiDhata hai
kabhi andesha-e-baatil hamein sone nahin deta
kabhi haq nim-shab darwaza aa kar khaTkhaTata hai
fazaen ek muddat se azanon ko tarasti hain
yahan har shaKHs harf-e-haq faqat kanon mein kahta hai
kahin KHud ko kisi shai ki tarah main bhul aaya hun
yahan rahte hue mujh ko to kuchh aisa hi lagta hai
hawaon ke alawa kaun aaega hamare ghar
na jaane kis ki KHatir ye diya ab jhilmilata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.