chaunk chaunk uThta hun ai baad-e-saba raat gae
chauñk chauñk uThtā huuñ ai bād-e-sabā raat ga.e
kaun detā hai dar-e-dil pe sadā raat ga.e
ārzūoñ ke musalsal ka.ī bādal barse
mire shāne pe vo lahrā.ī ghaTā raat ga.e
mere hī siine meñ chehre ko chhupā kar us ne
dī mirī shoḳh-nigāhī kī sazā raat ga.e
dil meñ ab tak hai shafaq-rang ḳhayāloñ kā hujūm
us ke aariz pe thā vo rang-e-hayā raat ga.e
us ke e.ajāz-e-talattuf kī taḌap kyā kahiye
koī ehsās kā pahlū na bachā raat ga.e
haa.e ye ramz-e-suḳhan aah ye andāz-e-firāq
kasmasā aur mirī fikr zarā raat ga.e
thā mire haath meñ vo dast-e-hinā.ī 'mutrib'
the dar-e-dil pe bhī kuchh naqsh-e-hinā raat ga.e
chaunk chaunk uThta hun ai baad-e-saba raat gae
kaun deta hai dar-e-dil pe sada raat gae
aarzuon ke musalsal kai baadal barse
mere shane pe wo lahrai ghaTa raat gae
mere hi sine mein chehre ko chhupa kar us ne
di meri shoKH-nigahi ki saza raat gae
dil mein ab tak hai shafaq-rang KHayalon ka hujum
us ke aariz pe tha wo rang-e-haya raat gae
us ke eajaz-e-talattuf ki taDap kya kahiye
koi ehsas ka pahlu na bacha raat gae
hae ye ramz-e-suKHan aah ye andaz-e-firaq
kasmasa aur meri fikr zara raat gae
tha mere hath mein wo dast-e-hinai 'mutrib'
the dar-e-dil pe bhi kuchh naqsh-e-hina raat gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.