chaunka hai aaj yun tera diwana KHwab mein
chauñkā hai aaj yuuñ tirā dīvāna ḳhvāb meñ
jaise ki mil gayā koī vīrāna ḳhvāb meñ
likhnā hai pichhle din kā bhī afsāna ḳhvāb meñ
ai hone vaalī sub.h na aa jaanā ḳhvāb meñ
din-bhar kī mushkilāt kī duunī sazā milī
bedāriyoñ kā ḳhvāb hai dohrānā ḳhvāb meñ
ham ko ġham-e-jahāñ ne dilāse bahut diye
bahlānā jāgte meñ to samjhānā ḳhvāb meñ
sub.h-e-subū-ba-dast se ab ke mileñge ham
dār-o-rasan pe aa.e haiñ rindāna ḳhvāb meñ
shāyad ki aaj gardan-e-sāqī meñ haath hoñ
chhīnā hai ek shaḳhs se paimāna ḳhvāb meñ
chaunka hai aaj yun tera diwana KHwab mein
jaise ki mil gaya koi virana KHwab mein
likhna hai pichhle din ka bhi afsana KHwab mein
ai hone wali subh na aa jaana KHwab mein
din-bhar ki mushkilat ki duni saza mili
bedariyon ka KHwab hai dohrana KHwab mein
hum ko gham-e-jahan ne dilase bahut diye
bahlana jagte mein to samjhana KHwab mein
subh-e-subu-ba-dast se ab ke milenge hum
dar-o-rasan pe aae hain rindana KHwab mein
shayad ki aaj gardan-e-saqi mein hath hon
chhina hai ek shaKHs se paimana KHwab mein
- Book : Meri Gazal (Pg. 31)
- Author : karar Noori
- Publication : Rooh-e-Asar (Ishaat Ghar) (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.