chehra bata raha hai raaton ko jagte ho
chehra batā rahā hai rātoñ ko jāgte ho
kaisī thakan milī hai hañs kar utārte ho
kis ke qadam paḌe the kaise nishāñ paḌe haiñ
kis ke ġhamoñ kī miTTī āñgan se jhāḌte ho
likkho kabhī ki mujh ko tum yaad kar rahe ho
masrūfiyat ke lamhe bhī mujh pe vārte ho
chhoḌā thā tum ne jaisā Thahre hue haiñ ab tak
aur tum galī galī meñ ham ko pukārte ho
ruḳhsat karo nā hañs kar āñkhoñ se do duā.eñ
jaane pe mere aise kyoñ muñh bigāḌte ho
taare hue haiñ maddham chandā chalā gayā hai
yaañ raat ho chukī hai tum din guzārte ho
mausam huā hai barham bechain haiñ fazā.eñ
aise meñ tum 'diyā' kī zulfeñ sañvārte ho
chehra bata raha hai raaton ko jagte ho
kaisi thakan mili hai hans kar utarte ho
kis ke qadam paDe the kaise nishan paDe hain
kis ke ghamon ki miTTi aangan se jhaDte ho
likkho kabhi ki mujh ko tum yaad kar rahe ho
masrufiyat ke lamhe bhi mujh pe warte ho
chhoDa tha tum ne jaisa Thahre hue hain ab tak
aur tum gali gali mein hum ko pukarte ho
ruKHsat karo na hans kar aankhon se do duaen
jaane pe mere aise kyon munh bigaDte ho
tare hue hain maddham chanda chala gaya hai
yan raat ho chuki hai tum din guzarte ho
mausam hua hai barham bechain hain fazaen
aise mein tum 'diya' ki zulfen sanwarte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.