chehra sabab baghair nahin mera zard hai
chehra sabab baġhair nahīñ merā zard hai
dil par lagī hai choT kaleje meñ dard hai
guzrā hai is taraf se koī kārvāñ zarūr
manzil kī samt jab to havāoñ meñ gard hai
phir hashr ho na jaa.e bapā kā.enāt meñ
bīmār-e-ġham ke hoñToñ pe ik āh-e-sard hai
vo rāh-e-haq meñ maut se Dartā nahīñ kabhī
jo ālam-e-hayāt kā jāñ-bāz mard hai
lillāh do-ghaḌī ke liye dekh bhī to jā
tere marīz-e-ishq kī ab nabz sard hai
'aḳhtar' batā junūn-e-mohabbat hai kyā balā
kahte haiñ āj-kal ki tū sahrā-navard hai
chehra sabab baghair nahin mera zard hai
dil par lagi hai choT kaleje mein dard hai
guzra hai is taraf se koi karwan zarur
manzil ki samt jab to hawaon mein gard hai
phir hashr ho na jae bapa kaenat mein
bimar-e-gham ke honTon pe ek aah-e-sard hai
wo rah-e-haq mein maut se Darta nahin kabhi
jo aalam-e-hayat ka jaan-baz mard hai
lillah do-ghaDi ke liye dekh bhi to ja
tere mariz-e-ishq ki ab nabz sard hai
'aKHtar' bata junun-e-mohabbat hai kya bala
kahte hain aaj-kal ki tu sahra-naward hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.