chehra to chamak damak raha hai
chehra to chamak damak rahā hai
andar se ye shaḳhs bujh chukā hai
thī tab-e-ravāñ misāl-e-dariyā
dariyā ye magar utar gayā hai
āñkhoñ meñ the ḳhvāb sau tarah ke
ye rañg-mahal ujaḌ chukā hai
naqsh us ke haiñ be-numūd saare
naġhma aisā ki be-sadā hai
baiThā hai udaas ghar meñ tanhā
jaise koī us ko DhūñDhtā hai
tum us ko talāsh kyā karoge
ḳhud apne se jo bichhaḌ chukā hai
ye rañg-e-suḳhan hai ḳhaas us kā
ik aisī ġhazal jo marsiya hai
chehra to chamak damak raha hai
andar se ye shaKHs bujh chuka hai
thi tab-e-rawan misal-e-dariya
dariya ye magar utar gaya hai
aankhon mein the KHwab sau tarah ke
ye rang-mahal ujaD chuka hai
naqsh us ke hain be-numud sare
naghma aisa ki be-sada hai
baiTha hai udas ghar mein tanha
jaise koi us ko DhunDhta hai
tum us ko talash kya karoge
KHud apne se jo bichhaD chuka hai
ye rang-e-suKHan hai KHas us ka
ek aisi ghazal jo marsiya hai
- Book : Abyaat (Pg. 50)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.