chehre ko mahtab to aankhon ko jhil likh
chehre ko māhtāb to āñkhoñ ko jhiil likh
jo qudratan jamīl hai us ko jamīl likh
da.avā ye chāhtā hai ki koī dalīl ho
lekin ḳhudā hai ek use be-dalīl likh
chehra ho māhtāb nazar nūr-e-yār ho
aisā mile jo koī to us ko shakīl likh
tanhā.iyoñ kā zahr badan meñ utar na jaa.e
milne kī apne koī ḳhudā-rā sabīl likh
har manzar-e-jamāl meñ san.at usī kī hai
jo ḳhāliq-e-jamāl hai us ko jamīl likh
āñkhoñ kā e.atibār bhī baaqī na rah sake
afsāna zindagī kā na itnā tavīl likh
'zākir' ravish ravish se zamāne kī hai ayaañ
honā paḌegā apnā hameñ ḳhud-kafīl likh
chehre ko mahtab to aankhon ko jhil likh
jo qudratan jamil hai us ko jamil likh
dawa ye chahta hai ki koi dalil ho
lekin KHuda hai ek use be-dalil likh
chehra ho mahtab nazar nur-e-yar ho
aisa mile jo koi to us ko shakil likh
tanhaiyon ka zahr badan mein utar na jae
milne ki apne koi KHuda-ra sabil likh
har manzar-e-jamal mein sanat usi ki hai
jo KHaliq-e-jamal hai us ko jamil likh
aankhon ka eatibar bhi baqi na rah sake
afsana zindagi ka na itna tawil likh
'zakir' rawish rawish se zamane ki hai ayan
hona paDega apna hamein KHud-kafil likh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.