chehre pe huzn-o-ranj-o-alam ke nishan na the
chehre pe huzn-o-ranj-o-alam ke nishāñ na the
ham ro rahe the aañkh se aañsū ravāñ na the
har baat pe ham aap kī ḳhāmosh hī rahe
pās-e-adab thā varna to ham be-zabāñ na the
pahle bhī kuchh huiiñ thiiñ ġhalat-fahmiyāñ magar
is tarah log ham se kabhī bad-gumāñ na the
bātoñ se ham to duniyā ko dhoka na de sake
sīdhī sī baat kahte the jaadū bayāñ na the
yak-bārgī ye lutf-o-karam ho rahā hai kyoñ
is tarah aap ham pe kabhī mehrbāñ na the
mushkil se ham ne manzil-e-maqsūd paa.ī hai
baiThe hamārī taak meñ dushman kahāñ na the
chehre pe huzn-o-ranj-o-alam ke nishan na the
hum ro rahe the aankh se aansu rawan na the
har baat pe hum aap ki KHamosh hi rahe
pas-e-adab tha warna to hum be-zaban na the
pahle bhi kuchh huin thin ghalat-fahmiyan magar
is tarah log hum se kabhi bad-guman na the
baaton se hum to duniya ko dhoka na de sake
sidhi si baat kahte the jadu bayan na the
yak-bargi ye lutf-o-karam ho raha hai kyon
is tarah aap hum pe kabhi mehrban na the
mushkil se hum ne manzil-e-maqsud pai hai
baiThe hamari tak mein dushman kahan na the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.