chehre pe jo raunaq hai wo andar to nahin hai
chehre pe jo raunaq hai vo andar to nahīñ hai
jo yaar kā dil moh le vo jauhar to nahīñ hai
sad-shukr qanā.at kī mujhe mil ga.ī daulat
nādār huuñ rahzan kā mujhe Dar to nahīñ hai
sākin huuñ jahāñ shakk-o-hasad buġhz-o-tanāfur
rahne ko makāñ hai vo magar ghar to nahīñ hai
dastak diye jaatā hai koī ajnabī hogā
maujūd ho jo dil meñ vo bāhar to nahīñ hai
us kā vahī jalva hai vahī jalvagarī hai
haañ mujh ko hī tāb-e-ruḳh-e-anvar to nahīñ hai
kyoñ kartā hai vo hashr bapā ishq pe us se
māshūq hai vo dāvar-e-mahshar to nahīñ hai
chehre pe jo raunaq hai wo andar to nahin hai
jo yar ka dil moh le wo jauhar to nahin hai
sad-shukr qanaat ki mujhe mil gai daulat
nadar hun rahzan ka mujhe Dar to nahin hai
sakin hun jahan shakk-o-hasad bughz-o-tanafur
rahne ko makan hai wo magar ghar to nahin hai
dastak diye jata hai koi ajnabi hoga
maujud ho jo dil mein wo bahar to nahin hai
us ka wahi jalwa hai wahi jalwagari hai
han mujh ko hi tab-e-ruKH-e-anwar to nahin hai
kyon karta hai wo hashr bapa ishq pe us se
mashuq hai wo dawar-e-mahshar to nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.